Table of Contents
Ab 2024 mein pehle ki nisbat paisa kamana buhat asan ho gaya hai. Keu kay jab se internet aya hai. Tab se buhat sare ways nay khul gay hain. Or buhat sare log pakistan main internet ko use kar kay online paisa kama be rahe hain.
Agar ap ka be plan hai kay ap online paise kamaye 2024 mein. To ya article ap ki madad kar sakta hai. AP ko mein kuch aisa ways batu ga, Jin ki madad se ap ghar baitha 30,000 se lay kar 500,000 tak buhat asani se earn kar sakte ho.
Lakin is se pehle main ways shuru karo, ap ko main bata dayta hun. kay aisa nahi hai kya aap ajj kam shuru karo gay or kal apko paisa aane shuru ho jaye ga. Keu kay internet par kam karna bhi ek business ki tarah ka he hai.
Or har business ko chahe wo online ho ya offline us paar time lagta hai. Lakin agar ap nay time day deya to ap buhat acha paisa kama sakte ho online.
Ghar Baithe paisa kamane kay tarika
Online paisa kamane ke bahut sare ways hain, Jin mein se kuch ap kay sath mein is article mein share karo ga.
Freelancing
Blogging
Vlogging ( Content Creation )
Digital Services
E-commerce
Trading
Affiliate Marketing
Artificial Intelligence
Online Teaching
Ya top 10 ways hain jis ki madad se aap acha khasa paisa kamao gay. Keu kay ya sary ways apne andar he buhat barhi industries hai. Tension nahi leni ap ko mein smajata ho kay kaisa ap in mein se kisi industry main ja sakte ho.
Freelancing
Freelancing sab se pehla tarika hai, Jis se buhat sare log million of dollars kama rahe hain. Asal main freelancing hota hai logo ke leya kam karna online or un se paisa layna. Is kay liye aapko skills seakhni parti hain. Wo kuch bhi ho sakti hain.
Graphic designing, Web development, Video editing, Data Entry, Content Writing, and Digital Marketing. Ya kuch most popular skills hain jin mein se ap koi be apne hisab se seakh sakte ho. Lakin in Kay Alawa be buhat sari skills hain.
Skills seakhnay kay liye aapko kisi course ki zaroorat nahi hai. Keu kay main nay Digital marketing Google or youtube se seekhi hai. Or aaj mujhe 7 saal ho gay hain, Seo or digital marketing industry main kam karte howye.
Is leya ap ko main recommend karo ga aap nay jo bhi sekahna hai. Khud seekho youtube or google se. Aap ko buhat ache content creators mil jaye gay. Skill seakhne kay bad ap ka agla kam ho ga, Apne leya clients find karna. Jo kay ap ko social media se ya phir freelancing marketplace se mil jaye gay.
Buhat sari freelancing marketplaces hai, Jaisa Fiverr, freelancer, upwork, Guru.com, and people per hour. Ya kuch sites hain, jin par ja kay ap apni services day sakte ho. I hope ap ko freelancing ki samajh aa gai ho gai, ab baat karte hain
For full Guide Read this: Freelancing Kya hai or Freelancing se paisa kaisa kamaye
Blogging
Agar aap chahte ho aap ko din main ziada kam na karna pare. Phir bhi aap ek handsome amount of money online ghar baithe kamao. To Blogging ek buhat acha way hai, jis se ap buhat ziada passive income nikal sakte ho.
Blogging ek best passive earning ka way hai. Blogging se ap start main kuch bhi nahi kamow gay. Lakin 1 se 2 saal ke andar ap bohat acha paisa kamao gay. Blogging main ap apni ek website banate ho jaisa hamari ya kuwaiturdunews.com hai.
Ap nay is tarah ek website banani hai, Or us par ap content share karo gay logo ke sath. Jab ap start main website banate ho. Ap ko website kuch nahi dayti lakin jab aap ki website par ahista ahista traffic ana shuru hoti hai.
Wase Wase aap ki earning kay sources banate hain. Keu kay jis kay pass traffic ho, wo bohat sare ways se paise kama sakte hai. Chahe wo blog par ho ya phir youtube channel par, Blogging kay sath sath next way Vlogging hai. Chale deakhte hain vlogging kya hai or kaisa karna hai.
Vlogging
Vlogging be blogging ki tarah hota hai, bas farak ya hai kay blog par writing ki form main content create karte ho. Lakin vlogging mein ap video ki form main content create karte ho. Us kay liye aapko kuch skills seakhni ho gai. Jisa Video Editing, SEO, and Graphic designing.
Is Kay sath sath aap ko kuch soft skills jaisa Speaking and communication skill seakhni padegi. Keu kay Agar ya cheezay ap ko ati hain. Tab he ap achi videos bana sakte ho. In kay alawa ap achi video nahi bana sakte.
Or sab se zaruri cheez aapke paas ek mobile ho, 2024 main aap ko kafi ache mobiles mil jaye gay jin ki camera quality bohat achi hai. Yahi sab cheezy hai in kay alwa aap ko kuch nahi chahe.
Just us kay baad aap nay ek youtube channel banana hai or us par Videos banana shuru kar dayna hai. Start mein ap ko youtube channel be blogging ki tarah paisa nahi day ga. Lakin kuch time ke baad aap ko is se achi khasi earning ho ge.
Youtube channel banane ka sab se bara faida ya hai. Kay ap ko paisa kay sath sath ek audience base be mile ga. Jo ap kay face ko jane gay, or ap famous ho sakte ho is se. Or agar aap mujh se pooche gay to ap ko main 2024 main youtube channel par kam karna recommend karo ga. Keu kay Youtube ap ka personal brand build kare ga.
Or Jab ap ka personal brand build ho gya, To ap apne brand se buhat ziada paisa kama sakte ho. Keu kay us kay ap koi be way ko use kar sakte hai. Keu kay ap ka audiance base hai jo ap par trust karti hai. Jis se wo audience ap kay loyal customers ban jate hain.
Digital Services
Jaisa kay mai ap ko batya hai kay agar ap brand ban jaye to aap ke liye kafi ways open ho jate hain. Jis mein se ek Digital services hoti hai. Digital services ka matlab hai kay aap kisi be kisam ka koi be software ya app bana day.
Jis ki market mein demand ho, or ap us ko apni website kay through ya phir youtube channel kay through promote kar sakte ho.
Ya phir agar aapke pass kisi be kisam ki koi audience nahi. To apni services ko digital marketing kay through promote kar sakte hain. Buhat sari aise digital services hain, jin ko ap bana sakte ho.
Jaisa kay Hosting company, Tool websites, digital assets, Website themes and plugins wagira. Or agar ap ki service chal gai to ap us se million of dollars kamaow gay.
Local Ecommerce Brand
Agar aap chahte ho kay aap koi acha sa business karo yo local e-commerce sab se best way hai. Keu kay 2023 kay hisab se pakistan ki e-commerce market ka size 5.2 billion dollars hai. Or definitely ya grow kare ga.
Agar ap nay is market main abi kadam rakh leya to ap aane wale waqt main is market se bohat ziada paisa kamaye gay. Ap nay just karna ya hai kay ek company banani hai, kisi bhi product kay uper.
Us kay bad ap nay products ya to khud banwanae hai ya phir ap white label karwa sakte ho. White label hota hai kay kisi be banan banya product uthaya lakin us par apne brand ka logo la deya. Or agar aapne online qadam rakhna hai, to meri recommendation hai.
Kay ap koshish karna kay ap ek brand bana lo. Keu kay agar aapne brand build kar liya, to ap us se bohat ziada paise kamao gay. Abi 2024 mein e-commerce ka agar market size 5.2 billion dollars hai to aane wale waqt mein ya market size increase kare ga.
Crypto / Shares/ Forex Trading
Trading jis ki hype 2020 se hai aur bahut sare log is kay bare mein baat kar rahe hain. Trading simple hota hai kisi bhi cheez ko buy or sale karna. Jis se ap paise kamate ho, keu kay ap kam price mein lay kar us ko high price per sale karte ho.
Is waqat 3 sab se bari markets hain, jin mein ap trading kar sakte ho or wo hain.
Share market ( PSX )
Crypto Market
Forex Market
Ya total 3 markets hain jin mein log trading karte hain. Share market har mulk ki hoti hai, jaisa pakistan ki share market ka name PSX ( Pakistan Stock Exchange ) Hai. Share market mein aap kisi bhi company ka share ko buy kar sakte hain.
Crypto market mein aap crypto currencies ki trading kar sakte ho. Crypto kay bare mein kahte hain kay, ya decentralized currency hai jis ko aane wale waqt mein use kiya jaye ga. OR Crypto kay piche koi be mulak nahi hai.
Or forex market mein aap har mulk ki actual currencies ki virtual trade karte ho. Yani Ap kisi bhi mulk ki currency ko kam price par buy kar kay high price per sale kar dete ho.
Ya 3 tarah ki market hai aap kisi mein be trading kar sakte ho. Har market se aap bohat acha paisa kama sakte ho. Lakin trading se pehle aap ya seakh layna kay trading hoti kaisa or is mein karna kya hai.
Affiliate Marketing
Affiliate marketing hota hai ap kisi be bande ki services ya products ko commission base par sale karte hain. Agar aapke paas paisa nahi hai or ap online kam karna chahte ho. To ap affiliate marketing start karo.
Keu kay affiliate marketing sab se best way hai online paisa kamane ka 0 Se. Ab ap kahe gay kay hum kaha se aise services ya phir products ko find kare. Jin ki hum services day sakte hain. To aap ko mein kuch website ka names batata dayta hon.
Jin se ap ko bohat sare products and services mil jaye ge. Ap nay just un ko sale karna hai or aap ko us se commission milti rahe gi.
Websites kay name
JVZoo
Amazon Associates
Maxbounty
CJ ( Commission Junction )
Warriorplus
Share A Sale
Impact
Ya kuch most popular Affiliate markets hai jaha se aap bahut sare products and services mil jaye ge. Yaha par be baat a jati hai ap in ko sale kaise kare gay. Tarika hai ya ap is k apni audience ko sale kare agar aap ki audience hai.
Ya phir ap in products ko digital marketing kay through promote kare.
AI ( Artificial Intelligence )
Pichle ek do saal se AI buhat dhoom macha raha hai. Or ap kay pass ya ek buhat acha mauka hai kay ap ai industry se paisa kama sako. Buhat sare ways hai is industry se paisa kamane kay. Jaisa ap Ai programmer ban sakte hai.
Ya phir ap khud koi ai tool build kar sakte hai, jaisa kay Chat GPT hai. Jo kay ek Chatbot hai. Isi tarah agar ap ko koi be unique images chahe ho to Midjourney hai jo ap ki is mein madad kare ga.
In tools ki tarah agar ap be koi tool bana lay AI ka to ap is se limitless earning kar sakte hain. Keu kay is industry mai buhat ziada scope hai. Ya phir pa jo bane banya tools hai un ko use kar kay koi be freelancing ki services day sakte ho.
Online Teaching
Covid kay aane ke bad teaching next level par chale gai hai. Ap buhat sare log ghar baith kay parna chahte hain. Is leya agar aapke pass koi be skill hai ya phir agar ap teacher hai. To ap bacho ko online parha sakte ho.
Jis se ap ki ek side income ghar baithe he start ho jaye ge. Lakin is kay liye ap ko 2 mein se ek cheez ki zaroorat hai. Ya to ap kay pass achi khasi education ho kay ap dosro ko academic teaching karwa sako.
Agar aapke paas agar koi be academic education nahi hai. To ap kay pass koi be achi se skill mojood ho jo aap dusro ko seakha sako or ap us se acha khase paisa lay sako. Jaisa kay start mein ap ko batya tha kay me SEO expert ho.
Is leya mei students ko seo sekhata ho, keu kay meri seo ki skill bari strong hai. Is liye aapko mein recommend karo ga.
Kay apni branding par start mein focus kare. Keu kay jab aap ki apni branding ho ge to ap ko buhat asani se students mil jaye gay. Or branding kay liye sab se best platform Youtube or Tik Tok hai. Ap in platforms par ap videos banana start kar day.
Jaisa jaisa pa kay followers increase ho gay ap ko students milte jaye gay.
Conclusion
Ya 9 sab se best ways hain, jin se ap online apna career start kar sakte ho. Is ke alawa bhi bahut sare ways hain. Lakin ya kuch sab se best or easy ways hai. Jin se ap paisa kama sakte ho.
Lakin aapko mein kuch cheeze batana chahte ho. Jo ap kya leya buhat zaroori hai janan. Sab se pehle ya kay online paisa kamana itna aasan bhi nahi. Jitna log kehte hain wohi banda is feild se paisa kamta hai. Jo is industry mein baitha rehta hai.
Dosri sab se zarrori cheez kay ap jo bhi karo chahe freelancing karo, chahe blogging kar, chahe ecommerce industry mein jow.
Ap apne brand par focus karna shuru karo, Keu kay next big thing personal brand hai. Jis bande ka apna personal brand hota hai us kay leya earning kay buhat sare moka hote hain. Third or sab se bari cheez har din kuch na kuch sikhte raho.
Yani khud ko upgrade karte raho. Jo banda apne aap ko waqat kay sath sath update karta rehta hai. Wo is industry main long term survive be karta hai. Or Online industry se paisa be buhat ziada kamata hai.
To ya tha aaj ka content i hope aapne kuch na kuch seekha ho ga. Agar ap ka koi be question hai to ap comment kar sakte hain.
Thanks for reading,
Regards.
Digital Hamza