Freelancing ka craze pakistan mein 2017 se 2019 tak buhat ziada tha. Craze ab be hai lakin 2024 mein Freelancing karna mushkil ho gaya hai. Keu kay har niche mein competition buhat ziada ho chuka hai.
Lakin agar ap nay freelancing karni hai, to is article mein ap ko mein ya be batu ga freelancing karni kaisa hai. Kon se skills ko seakhna chahe, or is se paisa kitna aur kaise kama sakte hain.
Freelancing Kya Hai
Freelancing hota hai apni services ko logo ko sale karna or us kay badle paisa layna. Ya ek tarah ki remote job he hoti hai. Lakin freelancing or remote job mein farak hai, remote job mein ap ko ek proper time follow karna hota hai.
Ek proper table or setup chahye. Even kay aap jis company ke sath kam karte hain, WO be ap ko track karte hain. Lakin freelancing mein ap ka apna time hota hai, apni marzi ho hai. Jab dil kare tab kam kare, or jahan se dil kare woha se kam kare.
Freelancing Kaisa Karni Hai
Sab se pehle aap ye baat yaad rakh lay freelancing buhat easy hai. Ap ko just 3 steps ko follow karna hai. Us kay baad ap freelancing se paise kama sakte hain.
Sab se pehle step hai Skill seakhana, doosra step hai portfolio build karna. Or Last step Clinets ko find karna. Ya 3 steps agar aapne sahi se kar leya, To samjah lay ap ki earning shuru ho jaye ge.
Keu kay clients find karne kay bad nay un kay leya kaam karna hai Or wo aap ko pay kare gay. Ab mein ap ko detail mein steps kay bare mein guide karta hon.
Skill Seekhna
Freelancing mein sab se zaroori Part hota hai skills. Keu ki aapne logo kay leya online kam karna hota hai. Jis kay liye aap kay pass digital skills ka hona zaroori hai. Bahut sari skills hai jin ko ap seakh sakte ho.
Lakin mere hisab se aapko wo skill seakhni chahe jis mein aapko interest hai. Keu kay Jis cheez mein ap ko interest aye ga wo skill ap buhat easy or perfection se seekho gay. Lakin ap ko mein kuch trending skills bata dayta ho.
Jin mein se ap koi be select kar sakte ho or us mein se dekh sakte hain. Kay ap ko kis skill me intrest hai.
Artificial Intelligence
Web Development
Digital Marketing
Graphic Designing
Video Editing
Content Writing
Apps Development
Ya kuch most popular skills hai is waqt ki, Lakin in kay alwa be buhat sari skills hai. Wo bhi aap deakh sakte ho. Skill select karne ke baad aap ka kam hai us ko seakhna. Main aapko recommend karo ga. Ap youtube se seekho, waha par aap ko buhat ache ache creators mil jaye gay.
Jo ap ko koi be skill buhat asani se seakha day ga. Keu kay mere hisab se kisi skill ko seakhna kay leya. Jitna ap nay pay karna hai wo apne portfolio ya dosri cheezo main lagana jo ap ko or ziada faida day ga.
Portfolio jo kay aap ka next step hai skill sekhnay kay bad. Jis par ap nay focus karna hai.
Portfolio Banana
Portfolio hota hai kay jo bhi skill ap ke pass hai us ko use karke aap nay kis type ka or kon kon sa kam kea hai. Basically portfolio ya show karwata hai kay ap ke pass kitna experaince hai.
Jaisa Agar ap nay Web development agar seakhi hai. To aap nay kon kon se website banani hai. Wo ap ka portfolio ho ga, Or jab aap kisi client ko approach karo gay. To websites ap us ko dekho gay. Jis se chances barh jate hai kay ap ko Wo client project day dai.
AB yaha par baat karte hai kay ap Portfolio kaisa build karo gay free mein. Sab se best way hai kay ap Facebook groups ko join karo apni skill kay related. Or woha par logo ko free ki services do.
Free mein ap ko bohat sare customers mil jaye gay, Ap us ka kam karo free mein or us project ko ap apne Portfolio mein add kar lo. Ya sab se best way hai free main portfolio build karne ka.
Clients Find Karna
Jab AAPka Portfolio ban jaye to Us kay baad aap ka agla step hai Clients ko find karna. Ab yaha par ap kay pass 2 tarika hai. Ek ap clients ke pass jaye or un ko apna idea pitch kare. Ya phir dosra ya kay client aap kay paas aye.
Sab se pehle baat karte hai, Kay clients kay pass ap kaisa jow gay. Is kay leya ap ko wo jagha pata honi chahe jaha par clients mojod hon. Tension nahi laini apko mein aise jagah bhi bata don ga, Jaha par Clients mojod hon gay.
Buhat sari aisi market places mojod hai, Jaha par ap ko clients mil jaye gay.
Ya kuch freelancing platform hai jaha par apni services ko sale kar sakte hain. Lakin yaha par 2024 mein competition buhat ziada hai. Is leya ap is kay sath sath dosra method par be focus kare. Yani kay apni branding karna shuru kare.
Jis se ho ga kya kay log aap ko janana shuru kar day gay or ahista ahista clients ap kay pass ana shuru ho jaye gay. Branding kay leya sab se behtar tarika hai content generation. Jo be kam ap karte ho us ki videos bana kay apne social media par upload karo.
Conclusion
Agar aapne 3 steps successfully kar leya to ap kay pass paisa ana start ho jaye ga. Lakin in 3no step se jyada important ap ki branding hai. Skill se ziada focus apni branding par karna keu kay branding he ap ko long term mein clients delaye ge.
Or clients ka matlab hai paisa hai paisa, Jaisa mere social media par agar aap dekho. TO ap ko mein apne social media par buhat ziada active milo ga. Jis se mujhe faida ya hai kay mujy ache khase clients mil jate hain.
Mujy zaroorat nahi parti kisi bhi freelancing platform par ja kay clients ko find karne ki.
2024 mein aapko mein ya recommend karo ga. Baki us kay sath sath ap apni skill ko improve karte rahe aur waqt kay sath sath new cheezay apny skill set mein add karte rahe.
Mein umeed karta ho kay ap ko ya article pasand aya ho ga. Agar ap ka koi question hai to aap comment kar sakte hain.
Thanks for reading,
Regards.
Digital Hamza