Last kuch saalo se blogging mein buhat sare log anan chahte hain. Keu kay blogging mein bohat ziada paisa kamaya ja sakta hai. Lakin logo ko pata he nahi kay blogging hota kya hai, is ko kaise start karna hai.
Or sab se important blogging se kaise paise kamane hai. Agar ap be un mein se hain, jin ko pata he nahi kay blogging se paise kis tarah kamaya ja sakta hai. To is Article mein aap kay sath mein kuch steps ko share karo ga.
Jis ki madad se ap easily blogging ko start kar sakte ho. Or us kay sath sath buhat ziada paisa kama sakte ho pakistan mein. Lakin steps se pehle ya cheez dekhte hain kay blogging hota kya hai.
Blogging kya Hai
Mein aapko blogging ka lafzi matlab nahi batu ga, Jo google par ap ko mil jaye ga. Simple aap ko batata ho kay blogging hota kya hai. Apni website bana ke us paar Articles ko likh kar publish karna Blogging kehlata hai.
Blogging online paisa kamane ka sab se best way hai. Keu kay Blogging ek passive way hai, Passive way matlab wo tarika jis par ap nay ek bar mehnat karni hoti hai. Us kay baad aapko lifetime jab tak aap ka wo source mojod hota hai.
Ap ko us se earning hoti rehti hai. Lakin jab ap blog banate ho start mei ap ko ap ka blog earning nahi dayta. Keu kay ap kay paas traffic nahi hoti. Lakin ahista ahista jab ap articles likhtay ho or un ko publish karte ho.
Ap kay pass traffic ati jati hai, Or jaisa jaisa aap ki site ki traffic grow hoti hai. Ap Ko wase wase achi earning hona shuru ho jati hai. Ya to thi baat blogging ki, Ab baat karte hain aap blogging kaise start kare gay.
Blogging kaisa start karni hai
Agar ap nay blogging start karni hai to just kuch steps hai jin ko aapne follow karna hai. Lakin blogging start karne se pehle aap ko kuch skills seakhni padegi. Jis mein sab se bari 2 skills hai ek hai SEO ( Search Engine Optimization ) or dosri article writing.
Keu Kay ap nay apni website par content likhna hota hai. Or content writing kay liye aapko article writing sekhni ho gai. Or Content likhna he nahi hota sirf us ko logo tak be puhchana hota hai. Jis kay liye aapko SEO seakhna pare ge, Is ki madad se apne content ko search engines par rank karwate ho.
Ap in dono skills ko easily Youtube se seekh sakte ho. Buhat sare youtube channels mil jaye gay. Skills seekhne ke baad aap ka agla kam hai Blog start karna. Jis kay leya Ya steps hai jo ab mein share karne laga ho.
Niche select karna
Sab se pehla step hai apne leya niche select karna. Niche hota hai kisi be website ka topic jis kay around ap content share karte ho. Yaha aap ko mein sab se pehle ya cheez recommend karo ga kay ap us niche par website start kare.
Jis niche mein aapke pass already achi knowledge ho ya phir aap ko us topic mein interest ho. Keu kay agar ap us skill par kam karte ho. Jis mein ap ko interest hai to ziada chances hai kay aap apni website ko chala lo gay.
Lakin agar ap ko koi aise niche nahi milti tab ap kisi be niche par blog bana sakte ho. Jo bhi aapko lagta hai kay mere leya achi niche hai.
Domain name select karna
Domain name hota hai ap ki website ka name or us kay sath ek extension wo kuch bhi ho sakti hai. Jaisa is site ka naam hai kuwait urdu News Or is domain name ka extension .com hai. Ap Be koi be name select kar sakte ho.
Jo ap ko lagta hai kya aap kay leya best hai, Total 3 types kay domain names hoti hai. Ek Branded domains ya wo domain names hote hain. Jin kay names ya zahir nahi karte kay sites kin cheezo kay related hai jaisa Cnet, propakistani, aliraza.co.
Ya branded name kai kuch examples hai aap be agar chahe to apne name par website bana sakte ho. Dosri type ki domains hoti hai partial match domain, Is tarah ki domains names ap ko apni category easily bata deti hai.
Matlab ya kay domain name se aapko easily pata lag jata hai kay site ki cheez ke bare mein hai. Or last type hain exact match domain, in domains name mein log ziada tar apne keywords ko use karte hain. Ap ko mein recommend karo ga kay ap partial match domain name select kare apni site kay leya. Keu kay is jaise website buhat easily ranks ho sakti hain.
Domain and Hosting Buy karna
Name Select karne ke baad aap ka agla kam hai domain name or hosting ho buy karna. Keu kay ya 2 cheeze sab se zaroori hai. Jis se ap apni website ko setup karte hain. Main apni websites kay leya namecheap hosting ka dedicated server use karte ho.
Ya hosting mere leya achi kaam kar rahi hai, Lalkin is kay alwa be buhat sari hosting companies hai. Jo bhi aap ko achi lagti hai ap us ko use kar sakte ho.
Website setup karna
Domain or hosting khareedne ke baad aap ka agla step hai wordpress ko apni website par install karna. Jo buhat easy process hai, ap ko bohat sari videos mil jaye ge is topic par youtube par. Ap un ko dekh kar apni website ko setup kar sakte hain.
Content likhna or seo karna
Website setup karne kay bad next step hota hai content likhna or seo karna. Yaha par baat ati hai kay new website par kitne articles publish karne chahe. Jis se website achi grow kare or ap ki income easily start ho sake.
Mere hisab se ap ko har month 25 se 30 ache high-quality content ap ko likhna chahe. Or sab se important content writing mein AI content ko use na karna start mein. Keu kay start mein ap ko nahi pata kay content ki quality kaise check karte hain.
Or AI jo content likhta hai, Wo low quality content hota hai. Is leya meri aap ko recommendation hai kay content jo be likho khud he likho AI ko use na karo.
Conclusion
Ya 5 steps hai jis kay bad ap ka apna blog run ho jaye ga. Lakin Blogging mein ao nay agar long term sustain karna hai to aap ko sath sath apni skills ko enhance karna ho ga. Or us kay sath sath ap ko patience karna padega.
Keu kay blogging se ap ko koi overnight success nahi mile ge. Ap ko ache earning kay leya at least 2 years wait karna padega. Ahista ahista ap ka blog grow kare ga, Or jab ap ka blog grow ho jaye to ap kay pass buhat sare ways hain, Jin ko use kar kay ap apne blog se achi khasi income kar sakte ho.
Jaisa Ads networks, affiliate marketing, Paid articles, backlinks selling and many more. Traffic par Focus karna earning aapko mil jaye ge. Lakin agar ap nay earning par focus kea to kuch nahi mile ga.
Main umeed karta ho kay aap ko samajh aa gayi hogi kay blogging ap kaisa pakistan mein start kar sakte ho. Ajj ka leya itna hai agar aap ka koi question ho to aap comment kar sakte ho.
Thanks for reading,
Regards.
Digital Hamza